Sunday, June 5, 2011

Lamha

woh lamha zindagi ka na jaane kab beet Gaya,
Jismen Maine saari muskurahat bhari thi

ab iss lamhen mein jeene ki koshish karta hoon
Jahan yaaden dastak deti hain...

Dhoondti hain uss zindagi ko,
Jisne safar mein rukna seekha nahi

Waqt ko saki bana kar, har jaam ki kashish ko
Muskurahat mein badal diya tha

Har lamhen ko zindagi bana diya
Aur har gum ko ek lamhen ki muskurahat mein chupa diya

Zindagi ko lamha lamha jeena
Aur har lamhe ko muskurana sikha diya